Aakhri Mulaqaat Thi by Chandra Narayan Gupta is a heartbreaking Shayari. When you are meeting him/her for the last time and you know you are never gonna see them again.
Lyrics –
Aaj Unse Humari Aakhri Mulaaqat Thi
Unke Hoton Pe Kehne Ko Kayi Baat Thi …
Woh Ye Saari Mulaqaat Chupate Rahe Magar
Unke Palko Ke Neeche Ashkon Ki Barsaat Thi …
Pairon Ki Bediyao Ko Tod Kar Keh Diya Hota
Aye Kaafir-Adaai, Tumse Bichadna Nahi Chahti …
Duniya Ke Rashm-O-Riwaaz Darmiyaan Aa Gye
Warna Main Tumse Door Hona Nahi Chahti …
Dil Me Dard Aur Chehre Pe Muskurahat Thi
Aaj Unse Humari Aakhri Mulaaqat Thi
Simti Si, Mayus Si, Mere Rubaru Nashiin Thi
Sukut-E-Aalam Sab Bayan Kiye Jaa Rahi Thi …
Hai Uske Dil Mein Meri Hi Murat Basi
Mere Diye Saare Khato Ko Jala Rahi Thi …
Us Chingaari Se Jisme Koi Aag Na Thi
Aaj Unse Humari Aakhri Mulaaqat Thi
Tu Laakh Kasme De Tujhe Bhul Jaane Ki
Teri Khushboo Meri Saanson Ko Mehkayegi
Jab Tera Aks Hi Raazdaar Hai Mere Seene Me
Door Jaakar Bhi Tu Mujhse Kaha Tak Jaayegi
Tera Didar Hi Jab Mere Liye Saari Kayanat Thi
Haa, Aaj Unse Humari Aakhri Mulaaqat Thi
Kya Kehta Main Usse Us Dard-E-Aalam Mein
Ke Kam Se Kam Yu To Mera Haath Na Chod …
Mana Ke Diya Hai Tune Har Saans Khusi Par
Aise To Bekasoor Mere Dil Ko Na Tod …
Abse Ajnabi Hum, Ajnabi Woh Hain
Uski Koi Majboori, Koi Majboor-E-Halaat Thi
Isliya, Aaj Unse Humari Aakhri Mulaaqat Thi