Taaseer-E-Ishq Ek Choti Si Pehal

Taaseer-E-Ishq Ek Choti Si Pehal

Taaseer-E-Ishq Ek Choti Si Pehal is a collection of Hindi Poetry, Hindi Shayari by Chandra Narayan Gupta. Through this youtube channel, I request you lovely people to listen to some of my written poetries and shayaris and shower your love. Your comments, suggestions and feedback are always appreciated, which will motivate me to write more and more

Lyrics –

Patton Ki Sarsarahat Na Hoti
Badalon Ka Garajna Na Hota
Tu Na Hoti Mahtaab To
Sitaro Ka Chamakna Na Hota ….


Tanhaiyon Me Khud Se Baat Kar Ke Dekha
Aaj Ek Baar Tujhe Yaad Kar Ke Dekha
Socha Zindagi Nayi Ik Mil Jaayegi
Phir Aaj Tujhe Par Main Mar Ke Dekha …


Tu Hoti To Aaj Mousam Baharon Ka Hota
Tera Saath Hota To Chaman Gulzaron Ka Hota
Tu Nahi To Suna Suna Hai Har Manzar
Tu Hoti To Har Pal Jhankaron Ka Hota ….


Hum Hi Ajnabiyon Me Gine Jaate Hain Aksar
Ashkon Se Zakhm Sile Jaate Hain Aksar
Usne Pehchana Nahi Humein, Uski Khata Nahi
Hum Hi Pehchane Nahi Jaate Hain Aksar ….


Mil Jaaye Khuda To Tera Haath Maang Lu
Meri In Tanhaiyon Se Tera Saath Maang Lu
Tasabbur Par Baithe Nigahon Se Nigahe Milaye
Darmiyan Hui Wo Saari Baat Maang Lu …


Mazboor-E-Halat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Tanhai Ki Ek Raat Idhar Bhi Hai Udhar Bhi
Ashkon Ko Chupa Lete Hain Wo, Muskurahato Me
Kuch To Nami Si Aankhon Me Idhar Bhi Hai Udhar Bhi ….


Tüm Nahi The To Kuch Bhi Nahi Tha
Sab Galat Hai Magar, Sab Kuch Sahi Tha
Hum Gaur Talab Tera Aks Khojte Rahe
Kisi Jarre Me Bhi Tera Namo Nishan Nahi Tha …..


Humein Tanha, Tanha Hi Rahne Do
Unse Tanhaiyon Me Milne Ka Waada Kiye Baithe Hain
Na Aane Do Posheeda Roshni Ki Koi Kiran Bhi
Unki Umeed Ko Hi Hum Ujala Kiye Baithe Hain …..


Apni Kismat Ka Dosh Nahi Shayad
Uske Fitrat Me Bas Itni Hi Wafa Thi
Mann Me Murat Jiske Viswas Ka Tha
Uski To Inaayat Me Hi Daga Thi ….